Monday 27 February 2012

Abhilasha

Koi kahe 'yeh aisa hota'
koi kahe 'yeh waisa'
koi na kahe par..........
ja ban ja woh
khud chahe tu jaisa

kya hota jo kabhi iss..
badal ke paron par
thodi saans main phoonkta
chand sitaron ke aage
khule aasman ka
chakkar kabhi ek lagata
wajah na dhoondta har wajah ki
sirf bann jata woh
khud chahoon main jaisa

kash kabhi na padhta
iss uljhan mein
subah ka suraj laal sindoori
sharmsaar kyun samandar ke
panah se nikalta...
ubalta yeh dariya kyun
sar chumta aasman sawnla
yeh jab bhi rota
rang kyun hai damagon ke liye
khusboo kyun na koi dekh pata
gar yeh na sochta to
phool gulab ka na hota?

aisa kya hota jo main
'yeh' 'woh' jaisa
sawalon ki yeh guthhi suljhata
kaun hai duniya mein peer payambar
raam ya rahim
kaun hain jag ke rehbar?

kaash in soch samajhwalon ko
thodi nadani main de pata
aisi khudai na sahi
kuch insaaniyat bach jaata

duniyadari ki yeh baatein kahkar
kya ban jaata bada in sab jaisa?
aisa kya hota jo
do char padh main bhi
ban jaata in sab jaisa?

koi kahe na kahe, ab
ban jaoon woh
khud chahoon main jaisa||

No comments:

Post a Comment