Wednesday 29 February 2012

Ibteda: Dhoop ka sikka

Ibteda: Dhoop ka sikka: Masjid ki chawk se Ramu halwai wali dahina gali lekar mandi se hokar kamre ki bistar tak  dimak lagi khidki se pighalta ...

Dhoop ka sikka


Masjid ki chawk se
Ramu halwai wali
dahina gali lekar
mandi se hokar
kamre ki bistar tak

dimak lagi band khidki se pighalta
nange peeth pe sikka ban uchalta

waqt ki tarah kahin
fisal jaata hai band muthhi se
haath aata nahi
kisi ke

pakad hi leta hai
chupte chupate
dhoop dekha hai kabhi peecha karte?

Tuesday 28 February 2012

Ibteda: Jaane kaise woh jee lete hain

Ibteda: Jaane kaise woh jee lete hain: Nazar na ho jaise aayina saaf dikh jaate hain aate nahi chehre par shikan unhe nazar aate hain labjhon ko pahankar kabhi zuban...

Jaane kaise woh jee lete hain

Nazar na ho jaise aayina
saaf dikh jaate hain
aate nahi chehre par
shikan unhe nazar aate hain

labjhon ko pahankar kabhi
zuban tak utar aaye
dil ki aisi baaton ko
gale se hi
cheen lete hain
suna hai meri tarah
zindgi kahin woh
kishton mein roz thodi
jee lete hain...........

chalkar un tak pahoonche
isse pahle hi
in kadmon ki aahat
jaan lete hain
meri aadaton ko
zaroorat apni banaye
jaane zindgi har pal kaise woh....
jee lete hain!!

Ibteda: Zindgi ki naksh

Ibteda: Zindgi ki naksh: Zindgi ki naksh kuch atrangi si nazar aati hai bahar jitna khushnuma andar ghamgin si nazar aati hai pairon ke nishan jaise ...

Zindgi ki naksh

Zindgi ki naksh kuch
atrangi si nazar aati hai
bahar jitna khushnuma
andar ghamgin si
nazar aati hai

pairon ke nishan jaise
dubte ubharte se hain
jitna aage failta
peeche utni hi chut ti
nazar aati hai

yeh jo faila saahil
ek lakeed sa hume dikhta hai
neeche zamin jitni
upar aasman utna hi
nazar aata hai

dariya ke do seere se
khul gaye hain
milte kabhi nahi,
eksaath bahte nazar aate hain

ek hi chehre pe
do do shaklein dikhte hain
kabhi qatil, kabhi masiha
bankar aate hain
iss ki aadat hume kuch
insaan si nazar aati hai
zindgi ki naksh kuch
atrangi si nazar aati hai

Ibteda: Ghar

Ibteda: Ghar: Hariyali bhari jungle ekdin  aadmi ki giraft se chutkar chaar diwari mein kaid ho jaati hai agar hariyali bach jaati hai to woh...

Ghar

Hariyali bhari jungle ekdin

aadmi ki giraft se chutkar
chaar diwari mein kaid ho jaati hai
agar hariyali bach jaati hai
to woh 'Ghar' hai
nahi to pashuon ka kawayyadkhana hai

Main jis ghar ki baat
kar raha hoon
sadiyon se yeh zurm sahta aaya hai
kya kya nahi dekha isne...
sabke lahoo ko parkha isne
sab mein zaher paaya hai

Iss ghar mein log aate hain
raaton ko deedar karne
badan ki aag bujhane, tan ki khwahish mitane
ghar sab dekha hai, chup chup ke hansa hai
khulke roya yeh jab kabhi koi budha
apne bachhon mein begana sabit hua hai
kabhi futkar roi koi bebas budhi to...
iski deewarein tutkar gire hain

Ghar suna hai bistar ke wartalapon ko
mishrit anugunjon ko
jab jab premika ke kano mein
jhuthe waade gunjte gaye
iski deewarein sunkar hansa hai
yeh waade raat ki siyahi se chalkar aate hain
subah ki roshni se mit jaate hain

Ghar apne aapko bhai bhai
baap bete ke rishton mein
bant te huye paaya hai
ab to yeh aalam hai
yeh unke khoon se lagbhag bhar aaya hai!!

Ghar bebak hai
iss ka matlab yeh nahi
har baat se anjaan hai
bas tumhari badnami se darkar
apne aapko maun rakhta hai
char deewari se apne labon ko si leta hai
tumhara itna to kadr karta hai

Main jis ghar ki baat kar raha hoon
naam hai uski 'Shitalchaya'
par andar ki mahaul garmahat bhari

Agar yeh tumhara ghar hai
agar iss ghar mein ab tak
tum rahte aaye ho
to woh chaar deewari ko todkar
khule aasman ke neeche aa jao
ghar ka naam aur kuch nahi
bas 'Ghar' rakho
shaayad ban jaaye

Ghar jab tod giraya tumne
ghar sawarne ki
jimmewari bhi tumhari hai.

Monday 27 February 2012

Ibteda: Zindgi bhi kaisi aadat hai

Ibteda: Zindgi bhi kaisi aadat hai: Zindgi aadat hai... iss 'aadat' ke aadi hum insaan. aapati jaati saason ka yeh karwaan kidhar se chala? kahan ruka? kise pata...

Ibteda: Abhilasha

Ibteda: Abhilasha: Koi kahe 'yeh aisa hota' koi kahe 'yeh waisa' koi na kahe par.......... ja ban ja woh khud chahe tu jaisa kya hota jo kabhi is...

Ibteda: Palchin

Ibteda: Palchin: Yeh jo bahke aksharon mein tum ulajh rahe ho... aise hi nahi bahak gaye..... pighalti in ankhon se bahkar bahak gaye.... ab tum ...

Ibteda: Seemarekha

Ibteda: Seemarekha: Hazaron chehron ke beech chehra yeh nayab nahi roz marrah ki zindagi mein fasana yeh nayab nahi gali kuche chaurahon pe takrat...

Seemarekha

Hazaron chehron ke beech
chehra yeh nayab nahi
roz marrah ki zindagi mein
fasana yeh nayab nahi

gali kuche chaurahon pe
takrate hain hardin
sah hazara tarifon ka kya kijiye
chehra ek jaise sadab nahi

pata koi ek ho to batayein
pata yeh hum sab jaison ka hai
raaste ki jis ghar pe
'naam' ya 'number' na ho
aisa har 'ghar'
hum sab jaison ka hai....

ghar ka yeh khula darwaza
shisham ya mehgani ka nahi
hawa ke jhokon ke saath bahta yeh
akad phir bhi kuch kam nahi
daricha kabhi mooh kholte hi khansta hai
kabse aisa hi dikhta hai.....
mano budha hi paida hua hai
bahka aayina aur almari
ek dusre ke biti jawani pe
thahake lagate hain
almari ko yeh shikayat
iss aayine mein chehre
bahke nazar aate hain
aayine ki safai, chehre jo hain
nazar aate hain...
iss ghar mein log koi
khubsurat nahi baste hain....
"zyada mat chahak", kahta aayina
"muh band rakh, tere liye zaroori hai
tere darazon ki daatein
kabhi bhi gir sakte hain"

inke beech kabse yeh kursi
ek pair pe khada hai
adam ke zamane se jaise
ikka dukka khelte aa raha hai !
us pontli pe nazar mat pherna
woh waise ka waisa dhara hai
kone khudre ki ration ki khairaat se
jaane kitna khali kitna bhara hai

deewar ke pheeke rang,
jhurriyon pe mat jana
asli rang jawani ke
kahin yeh kho chuka hai

aap 'sarkaar' iss uljhan mein
na padhein, khatirdari mein
koi kami na hogi
paawn dhulega, aasan lagegi
aur tandoor ke
mote roth pakegi

ilteja hai aapse par
do roth se zyada mat maangna
maangne walon mein aap kab se aate
in do rothon se ekdin guzara karna
iss khata ke liye dekho main ne
pahle hi haath jod liya hai
purkhon ne kya gustakhi ki
kisiko ilm nahi, par
haath jodne ki yeh aadat
hame viraasat mein mili hai !

makan ke baaki makin ki taarif
kya arz karein, kuch khaas nahi
char jodi in aankhon ko lekin
din ke do jodi
thaliyon ki talaash hai

phir kabhi aana to
poore chand ki raat aana
raat ki roshni sirf yeh 'ek' bachi hai
apne saaye se uktake baaki roshni
humne kabki bech daali hai

poore chand ki raat yeh dasht
chandni ke sailab mein
doobta nazar aata hai
poore chand ki raat yeh 'basera'
chandni ki zari se lapeta
tohfa dikhta hai
jaane kyun yeh poonam ka chand bhi
hume adhjale roth sa dikhta hai !
kab se uss tahni pe atka
koi nahi utarta
thali mein parosta nahi hai

gharibi- 'ek shraap' jise sab kahte hain
uss seemarekha ke neeche
hum jaise log baste hain...||

Palchin

Yeh jo bahke aksharon mein
tum ulajh rahe ho...
aise hi nahi bahak gaye.....
pighalti in ankhon se bahkar
bahak gaye....
ab tum bhi agar aage bahak jao,,,
to inhe baha dena............

baha dena magar wahan ki jahan
chandni ki zari se hamari
kashtiyan sulaghti thi
ek akeli chatri mein do badan
ek sawan nikalti thi

ab to yeh aalam hai...
jab jab dil mein
teri yaadon ka basar hota hai
palkon ki kataron pe
baarish ka mausam hota hai !!

Abhilasha

Koi kahe 'yeh aisa hota'
koi kahe 'yeh waisa'
koi na kahe par..........
ja ban ja woh
khud chahe tu jaisa

kya hota jo kabhi iss..
badal ke paron par
thodi saans main phoonkta
chand sitaron ke aage
khule aasman ka
chakkar kabhi ek lagata
wajah na dhoondta har wajah ki
sirf bann jata woh
khud chahoon main jaisa

kash kabhi na padhta
iss uljhan mein
subah ka suraj laal sindoori
sharmsaar kyun samandar ke
panah se nikalta...
ubalta yeh dariya kyun
sar chumta aasman sawnla
yeh jab bhi rota
rang kyun hai damagon ke liye
khusboo kyun na koi dekh pata
gar yeh na sochta to
phool gulab ka na hota?

aisa kya hota jo main
'yeh' 'woh' jaisa
sawalon ki yeh guthhi suljhata
kaun hai duniya mein peer payambar
raam ya rahim
kaun hain jag ke rehbar?

kaash in soch samajhwalon ko
thodi nadani main de pata
aisi khudai na sahi
kuch insaaniyat bach jaata

duniyadari ki yeh baatein kahkar
kya ban jaata bada in sab jaisa?
aisa kya hota jo
do char padh main bhi
ban jaata in sab jaisa?

koi kahe na kahe, ab
ban jaoon woh
khud chahoon main jaisa||

Zindgi bhi kaisi aadat hai

Zindgi aadat hai...
iss 'aadat' ke aadi
hum insaan.

aapati jaati saason ka yeh karwaan
kidhar se chala? kahan ruka?
kise pata? kisne dekha?

kab se hai yeh lahoo daudti
machalti choti badi nason mein
kise pata? kisne parkha?

saikron shaklein, chalta phirta sharara
zindgi ke aayine mein
kabhi der tak lekin...
ek nahi thahra

har lamha gale se utarkar
labhzon mein dhalti
khayyalon ke bahon mein
bahein daale, ithlati........
girti, uthkar chalti 
in pairon se yeh zindgai...
kabse hai yeh chala kafila?
kidhar gaya? kahan ruka?
kaun bataye? kisne dekha?

phoonk phoonk kar har ek kadam jo
uthe woh akhri hichki tak
har lamha par yeh sach jhuthlati
khel yeh lekin akhir kab tak?
kisne socha? kisne parkha?

sawalon ki yeh pontli peeche chorta
har lamha jeeye jata.....seeye jata
'iss aadat' ke aadi
hum insaan......
zindgi bhi kaisi aadat hai !!