Hariyali bhari jungle ekdin
aadmi ki giraft se chutkar
chaar diwari mein kaid ho jaati hai
agar hariyali bach jaati hai
to woh 'Ghar' hai
nahi to pashuon ka kawayyadkhana hai
Main jis ghar ki baat
kar raha hoon
sadiyon se yeh zurm sahta aaya hai
kya kya nahi dekha isne...
sabke lahoo ko parkha isne
sab mein zaher paaya hai
Iss ghar mein log aate hain
raaton ko deedar karne
badan ki aag bujhane, tan ki khwahish mitane
ghar sab dekha hai, chup chup ke hansa hai
khulke roya yeh jab kabhi koi budha
apne bachhon mein begana sabit hua hai
kabhi futkar roi koi bebas budhi to...
iski deewarein tutkar gire hain
Ghar suna hai bistar ke wartalapon ko
mishrit anugunjon ko
jab jab premika ke kano mein
jhuthe waade gunjte gaye
iski deewarein sunkar hansa hai
yeh waade raat ki siyahi se chalkar aate hain
subah ki roshni se mit jaate hain
Ghar apne aapko bhai bhai
baap bete ke rishton mein
bant te huye paaya hai
ab to yeh aalam hai
yeh unke khoon se lagbhag bhar aaya hai!!
Ghar bebak hai
iss ka matlab yeh nahi
har baat se anjaan hai
bas tumhari badnami se darkar
apne aapko maun rakhta hai
char deewari se apne labon ko si leta hai
tumhara itna to kadr karta hai
Main jis ghar ki baat kar raha hoon
naam hai uski 'Shitalchaya'
par andar ki mahaul garmahat bhari
Agar yeh tumhara ghar hai
agar iss ghar mein ab tak
tum rahte aaye ho
to woh chaar deewari ko todkar
khule aasman ke neeche aa jao
ghar ka naam aur kuch nahi
bas 'Ghar' rakho
shaayad ban jaaye
Ghar jab tod giraya tumne
ghar sawarne ki
jimmewari bhi tumhari hai.
No comments:
Post a Comment