Monday 27 February 2012

Seemarekha

Hazaron chehron ke beech
chehra yeh nayab nahi
roz marrah ki zindagi mein
fasana yeh nayab nahi

gali kuche chaurahon pe
takrate hain hardin
sah hazara tarifon ka kya kijiye
chehra ek jaise sadab nahi

pata koi ek ho to batayein
pata yeh hum sab jaison ka hai
raaste ki jis ghar pe
'naam' ya 'number' na ho
aisa har 'ghar'
hum sab jaison ka hai....

ghar ka yeh khula darwaza
shisham ya mehgani ka nahi
hawa ke jhokon ke saath bahta yeh
akad phir bhi kuch kam nahi
daricha kabhi mooh kholte hi khansta hai
kabse aisa hi dikhta hai.....
mano budha hi paida hua hai
bahka aayina aur almari
ek dusre ke biti jawani pe
thahake lagate hain
almari ko yeh shikayat
iss aayine mein chehre
bahke nazar aate hain
aayine ki safai, chehre jo hain
nazar aate hain...
iss ghar mein log koi
khubsurat nahi baste hain....
"zyada mat chahak", kahta aayina
"muh band rakh, tere liye zaroori hai
tere darazon ki daatein
kabhi bhi gir sakte hain"

inke beech kabse yeh kursi
ek pair pe khada hai
adam ke zamane se jaise
ikka dukka khelte aa raha hai !
us pontli pe nazar mat pherna
woh waise ka waisa dhara hai
kone khudre ki ration ki khairaat se
jaane kitna khali kitna bhara hai

deewar ke pheeke rang,
jhurriyon pe mat jana
asli rang jawani ke
kahin yeh kho chuka hai

aap 'sarkaar' iss uljhan mein
na padhein, khatirdari mein
koi kami na hogi
paawn dhulega, aasan lagegi
aur tandoor ke
mote roth pakegi

ilteja hai aapse par
do roth se zyada mat maangna
maangne walon mein aap kab se aate
in do rothon se ekdin guzara karna
iss khata ke liye dekho main ne
pahle hi haath jod liya hai
purkhon ne kya gustakhi ki
kisiko ilm nahi, par
haath jodne ki yeh aadat
hame viraasat mein mili hai !

makan ke baaki makin ki taarif
kya arz karein, kuch khaas nahi
char jodi in aankhon ko lekin
din ke do jodi
thaliyon ki talaash hai

phir kabhi aana to
poore chand ki raat aana
raat ki roshni sirf yeh 'ek' bachi hai
apne saaye se uktake baaki roshni
humne kabki bech daali hai

poore chand ki raat yeh dasht
chandni ke sailab mein
doobta nazar aata hai
poore chand ki raat yeh 'basera'
chandni ki zari se lapeta
tohfa dikhta hai
jaane kyun yeh poonam ka chand bhi
hume adhjale roth sa dikhta hai !
kab se uss tahni pe atka
koi nahi utarta
thali mein parosta nahi hai

gharibi- 'ek shraap' jise sab kahte hain
uss seemarekha ke neeche
hum jaise log baste hain...||

No comments:

Post a Comment